Na mukkamal na tamam hua
Dil tootne ka kissa ho aam hua
Usne pyaar bhi aise kiya
Mere marne ka intezam hua
Usko phool jo maine diye
Sookhe huye vahi mod pe mile
Mere yaar ko pyaar acha lagta hai
Chahe kahin aur se mile
Mere yaar ko pyaar acha lagta hai
Chahe kahin aur se mile
Tang hone mein hi maza hai sukoon ke liye
Ishq yahan kaun karta hai
Main manane mein waqt to laga doon
Par usko rooth jane mein
Zara bhi waqt na lagta hai
Nahi chalta aise nahi chalta
Pyaar mein aise nahi chalta
Tu meri duaon mein kisi aur ki baahon mein,
Ishq mein bata yeh kahan chalta
Mujhe tha milta jaise waise ab auron ko
Aur wahin lor se mile
Mere yaar ko pyaar acha lagta hai
Chahe kahin aur se mile
Mere yaar ko pyaar acha lagta hai
Chahe kahin aur se mile
Kabhi lage ki yeh sab jhooth hai
Hum bhi kya kare aankhon se humne dekha hai
In aankhon se dekha hai kano se suna hai
Woh jeene marne ke sapne sabko deta hai
Laaye ho kahan se laaye ho
Ishqe kamaal kahan se laye ho
Humein bhi milte ho kahin aur bhi khilte ho
Woh baat bata jahan se aaye ho
Kal hi mila tha mujhse aakar meri bahon mein
To laga kisi aur se mile
Mere yaar ko pyaar acha lagta hai
Chahe kahin aur se mile
Mere yaar ko pyaar acha lagta hai
Chahe kahin aur se mile
Comments