Sardi ka mausam, mausam mein baatein teri
Ik chai meethi, aur meethi yaadein teri
Tainu leke main pahadan vall jaawan
Gaane tere layi main sohne sohne gaawan
Sacchi mujhpe hai jadoo phire karta
Teri aankhon pe jo zulfon ka parda
Haaye tera surma, surme ne jaan hi leli
Sardi ka mausam, mausam mein baatein teri
Ik chai meethi, aur meethi yaadein teri
Tera naam pata maloom karein
Maine titliyon se kal baat kari
Sun baat yeh baadal jhoom pade
Barsaat yahan uss raat padi
Aur barf giri thi shehar tere
Meri gali mein bhi thand badhne lagi
Koyi dhun thi adhuri kirat ki
Jab hawa chali woh bhi ban'ne lagi
Tere khyalon se banaya maine pyar tabhi
Mere hathon ne uthaya tha guitar
Guitar bhi jhooma, jab dhun maine woh chhedi
Sardi ka mausam, mausam mein baatein teri
Ik chai meethi, aur meethi yaadein teri
Sardi ka mausam, mausam mein baatein teri
Ik chai meethi, aur meethi yaadein teri
Chup chup rehti woh aankhon se shararti si
Aankhon ke nashe ko seedha dil mein utarti
Jharne ka paani woh baatein sitaaron ki
Deti khushi jaise maggie pahadon ki
Baarish ki khushbu si dil ke sukoon jaisi
Pariyon ko dekho toh haan hubahu waisi
Hanste hi muft mein le gayi woh dil ko
Kya log honge woh milti hai jinko
Meri raatein hi mita gayi jis shaam mili
Leke hothon pe woh jab mera naam
Woh naam kya le gayi, bas le gayi jaan woh meri
Sardi ka mausam, mausam mein baatein teri
Ik chai meethi, aur meethi yaadein teri
Sardi ka mausam, mausam mein baatein teri
Ik chai meethi, aur meethi yaadein teri
Comments