Tere jaane ka gham
Aur na aane ka gham
Phir zamaane ka gham
Kya karein?
Raah dekhe nazar
Raat bhar jaag kar
Par teri toh khabar
na mile
Bahut aayi gayi yaadein
Magar iss baar tum hi aana
Iraade phir se jaane ke nahi laana
Tum hi aana!
Meri dahleez se hokar
Bahaarein jab guzarti hain
Yahaan kya dhoop kya saavan
Hawaayein bhi barasti hain
Humein pucho kya hota hai
Bina dil ke jiye jaana
Bahut aayi gayi yaadein
Magar iss baar tum hi aana
O...
Koi toh raah woh hogi
Jo mere ghar ko aati hai
Karo peecha sadaaon ka
Suno kya kehna chaahti hai...
Tum aaoge mujhe milne
Khabar yeh bhi tum hi laana
Bahut aayi gayi yaadein
Magar iss baar tumhi aana
Marjaavaan...
Marjaawaan...
Comments